Naya Hukmnama by Jawed Akhtar

Published: July 13, 2020, 10:26 p.m.

b'Kisi ka hukm hai\\nSaari hawayein\\nHamesha chalne se pehle batayein\\nKe unki samt ( direction) kya hai\\nHawaon ko batana yeh bhi hoga\\nChalengi jab tto kya raftaar hogi\\nKe aandhi ki ijazat ab nahi hai\\nHamari ret ki yeh sab faseelein (ramparts)\\nYe kagaz ke mahal\\nJo ban rahe hain\\nHifazat inki karna hai zaruri\\nAur aandhi hai purani inki dushman\\nYe sab hi jaante hain\\n\\nKisika hukm hai\\nDariya ki lehren\\nZara ye sarkashi ( strong headedness) kam kar lein\\nApni hadd mein thehrein\\nUbharna phir bikharna\\nBikhar kar phir ubharna\\nGalat hai unka ye hungama karna\\nYeh sab hai sirf vehshat ki alamat (signs of insanity)\\nBaghavat ki alamat\\nBaghavat tto nahi bardasht hogi\\nYe vehshat tto nahi bardasht hogi\\nAgar lehron ko hai dariya mein rehna\\nTto unko hoga bas chupchap behna\\n\\nKisika hukm hai\\nIs gulsitaN mein\\nBas ab ik rang ke hi phool honge\\nKuch afsar honge\\nJo ye tai karenge\\nGulistaN kis tarha banna hai kal ka\\nYaqeenan phool ikrangi tto hongey\\nMagar ye rang hoga kitna gehra kitna halka\\nYe afsar tai karenge\\nKisiko ye koi kaise bataye\\nGulistaN mein\\nKahin bhi phool ikrangi nahi hotey\\nKabhi ho hi nahi sakte\\nKi har ik rang mein chupkar\\nBahut se rang rehte hain\\nJinhone baagh ikrangi banana chahe thay\\nUnko zara dekho\\nKe jab ik rang mein sau rang zahir ho gayein hain tto\\nWoh ab kitne pareshaN hain\\nWoh kitne tung ( harassed )rehte hain\\n\\nKisiko ye koi kaise bataye\\nHawayeiN aur lehreN\\nKab kisika hukm sunti hain\\nHawayeiN\\nHakkimon ki mutthiyon mein, hathkadi mein qaidkhano mein\\nNahi ruktin\\nYeh lehren roki jaati hain\\nTto dariya kitna bhi ho pursukoon ( calm)\\nBetaab hota hai\\nAur is betaabi ka agla qadam\\nSailab (flood )hota hai.\\nKisiko ko ye koi kaise bataye'